Wednesday, November 19, 2014

Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai,
wo gulab jise barso pahle tune diya tha mujhko,
usme tere pyar ki mahak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
tu chahe to mere pyar ka imtahaan aaj bhi le le,
tere liye dil me jajbaato ki jagah aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
Jis chandani me tujhe dil dekhne ko tha aatur,
un nigaho me chandani ki chamak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
jin hatho me mere naam ki mehndi rachti thi kabhi,
naam kisi aur ka ho par wo mahak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
wo muhabbat, wo jajbaat, jinki kabhi kadr thi tumko,
halat jo bhi ho, dil wo jajbaat jawan aaj bhi hai.
rote to sab hai apni haalat pe lekin,
tere saath bitaye har pal ki sisak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai................
Jo haal maut na kar payi, us haal me ab ham jite hai,
dunia lakh mana kar le hamko, lekin phir bhi ham pite hai.
Kuch kahte hai adharm hai ye, kuch kehte hai ye paap hai,
in naadano ko kaun samjhaye, in sabke piche kahi na kahi to aap hai.
Mai dosh aapko nahi deta, nahi pratyaarop mai karta hu,
lekin duniya ko kaise samjhau, mai roz apne aap se ladta hu.
Mere jaise kuch log sahi shayad mujhko bhi samajh paye,
roz apna jiwan hum, mar-mar ke kaise jite hai.
Dunia lakh mana kar le hamko, lekin phir bhi ham pite hai.......

Monday, October 13, 2014

Jajbaaton se oot-prot, jab tere khat mai padhta hu,
dil me ek tees si uthti hai, kuch karne ko man karta hai.
jaanta hu bahut door hu tujhse, jiwan bhar shayad mil na saku,
jane fir bhi kyu tere khatir, kuch banne ko man karta hai.
jiwan path par badhte-badhte, bahut door nikal chuke hai hum,
lekin jiwan ke kisi mod par, tere khatir tere intazaar me, rookne ko man karta hai.
jajbaaton se oot-prpt, jab tere khat mai padhta hu,
dil me ek tees si uthti hai, kuch karne ko man karta hai.
apni wo purani sari yaaden, jinhe shayad bhool bhi chuke hoge tum,
na jane kyu un yaado ko phir jine ko man karta hai.
jajbaaton se oot-prot, jab tere khat mai padhta hu,
dil me ek tees si uthti hai, kuch karne ko man karta hai...

Thursday, August 28, 2014

Zindagi khoobsurat bhi hai, zindagi gamgeen bhi.
zindagi bahut mithi hai to, hai kabhi namkeen bhi.
beshumaar khushiyo ka kabhi zindagi mela bhi hai.
to kabhi ye zindagi tanha aur akela bhi hai.
ek khoobsurat sa koi ehsaas bhi hai zindagi.
sapno ke pura na ho pane ka pyas bhi hai zindagi.
dunia jitni acchi hai, acchai hai ye zindagi.
maut jitni sacchi hai sacchai hai ye zindagi.
zindagi khoobsurat bhi hai, zindagi gamgeen bhi.
zindagi bahut mithi hai to, hai kabhi namkeen bhi...........
Jo yaad hamen tadpati hai, wo yaad tumhe bhi aati hai,
us yaad ke mare tum bhi ho, us yaad ke mare hum bhi hai.
dunia se door hote hai jab tanha ho ruswai me,
jab kaam-kaaz sab niptakar, baithe ho tanhai me.
us waqt soach ke sagar me, bas teri surat dikhti hai,
apnapan ka ehsaas liye pyari si murat dikhti hai.
us pal me bhool mai jaata hu, is dunia ki sacchai ko,
pal bhar me hi chu leta hu tere yaado ki gahrai ko.
lekin fir jab mai jagta hu, wakif hota hu sacchai se,
wapis fir ghir jaata hu, is dunia ki ruswai se.
us waqt bhi murat dikhti hai, par bandhano me akdi hui,
samaj ki bedi torne ko aatur, janjiroo me jakdi hui.
jo yaad hamen tadpati hai wo yaad tumhe bhi aati hai,
us yaad ke mare tum bhi ho, us yaad ke mare hum bhi hai.....

Tuesday, July 1, 2014

Mai hindu bhi hu, aur mai musalmaan bhi hu.
mujhe khandit samajh bhool na kar lena tum,
mai tanha sahi, par akhand hindustaan bhi hu.
Mai hindu bhi hu, aur mai musalmaan bhi hu.
insaaniyat mera dharm, sacchai imaan hai mera,
bhartiya hu bas yahi pehchaan hai mera.
Mai kabhi sikkh to kabhi essai bhi hu,
badalte bharat ki nayi sacchai bhi hu........
Man ke sagar me chipi soach ki us moti ko khoj raha hu,
andhere jiwan ko jagmaga sake us jyoti ko mai khoj raha hu.
Apne gyan ke prakash ko, ab mai bhi prajjwalit kar paoo,
sapne jo dil me pale hai pura unko twarit kar paoo.
Andhkaar ko door hatakar, jiwan me jo khusiya bhar de,
man ke aangan me diya jalakar. raushni se isko bhar de.
Apne oor badhne wale un hatho ko ab khoj raha hu,
Man ke sagar me chipi soach ki us moti ko khoj raha hu,
andhere jiwan ko jagmaga sake us jyoti ko mai khoj raha hu..