Wednesday, November 19, 2014

Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai,
wo gulab jise barso pahle tune diya tha mujhko,
usme tere pyar ki mahak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
tu chahe to mere pyar ka imtahaan aaj bhi le le,
tere liye dil me jajbaato ki jagah aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
Jis chandani me tujhe dil dekhne ko tha aatur,
un nigaho me chandani ki chamak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
jin hatho me mere naam ki mehndi rachti thi kabhi,
naam kisi aur ka ho par wo mahak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
wo muhabbat, wo jajbaat, jinki kabhi kadr thi tumko,
halat jo bhi ho, dil wo jajbaat jawan aaj bhi hai.
rote to sab hai apni haalat pe lekin,
tere saath bitaye har pal ki sisak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai................
Jo haal maut na kar payi, us haal me ab ham jite hai,
dunia lakh mana kar le hamko, lekin phir bhi ham pite hai.
Kuch kahte hai adharm hai ye, kuch kehte hai ye paap hai,
in naadano ko kaun samjhaye, in sabke piche kahi na kahi to aap hai.
Mai dosh aapko nahi deta, nahi pratyaarop mai karta hu,
lekin duniya ko kaise samjhau, mai roz apne aap se ladta hu.
Mere jaise kuch log sahi shayad mujhko bhi samajh paye,
roz apna jiwan hum, mar-mar ke kaise jite hai.
Dunia lakh mana kar le hamko, lekin phir bhi ham pite hai.......