Thursday, August 28, 2014

Zindagi khoobsurat bhi hai, zindagi gamgeen bhi.
zindagi bahut mithi hai to, hai kabhi namkeen bhi.
beshumaar khushiyo ka kabhi zindagi mela bhi hai.
to kabhi ye zindagi tanha aur akela bhi hai.
ek khoobsurat sa koi ehsaas bhi hai zindagi.
sapno ke pura na ho pane ka pyas bhi hai zindagi.
dunia jitni acchi hai, acchai hai ye zindagi.
maut jitni sacchi hai sacchai hai ye zindagi.
zindagi khoobsurat bhi hai, zindagi gamgeen bhi.
zindagi bahut mithi hai to, hai kabhi namkeen bhi...........
Jo yaad hamen tadpati hai, wo yaad tumhe bhi aati hai,
us yaad ke mare tum bhi ho, us yaad ke mare hum bhi hai.
dunia se door hote hai jab tanha ho ruswai me,
jab kaam-kaaz sab niptakar, baithe ho tanhai me.
us waqt soach ke sagar me, bas teri surat dikhti hai,
apnapan ka ehsaas liye pyari si murat dikhti hai.
us pal me bhool mai jaata hu, is dunia ki sacchai ko,
pal bhar me hi chu leta hu tere yaado ki gahrai ko.
lekin fir jab mai jagta hu, wakif hota hu sacchai se,
wapis fir ghir jaata hu, is dunia ki ruswai se.
us waqt bhi murat dikhti hai, par bandhano me akdi hui,
samaj ki bedi torne ko aatur, janjiroo me jakdi hui.
jo yaad hamen tadpati hai wo yaad tumhe bhi aati hai,
us yaad ke mare tum bhi ho, us yaad ke mare hum bhi hai.....