Wednesday, November 19, 2014

Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai,
wo gulab jise barso pahle tune diya tha mujhko,
usme tere pyar ki mahak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
tu chahe to mere pyar ka imtahaan aaj bhi le le,
tere liye dil me jajbaato ki jagah aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
Jis chandani me tujhe dil dekhne ko tha aatur,
un nigaho me chandani ki chamak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
jin hatho me mere naam ki mehndi rachti thi kabhi,
naam kisi aur ka ho par wo mahak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai.
wo muhabbat, wo jajbaat, jinki kabhi kadr thi tumko,
halat jo bhi ho, dil wo jajbaat jawan aaj bhi hai.
rote to sab hai apni haalat pe lekin,
tere saath bitaye har pal ki sisak aaj bhi hai.
Bite lamho ke liye dil me kasak aaj bhi hai................
Jo haal maut na kar payi, us haal me ab ham jite hai,
dunia lakh mana kar le hamko, lekin phir bhi ham pite hai.
Kuch kahte hai adharm hai ye, kuch kehte hai ye paap hai,
in naadano ko kaun samjhaye, in sabke piche kahi na kahi to aap hai.
Mai dosh aapko nahi deta, nahi pratyaarop mai karta hu,
lekin duniya ko kaise samjhau, mai roz apne aap se ladta hu.
Mere jaise kuch log sahi shayad mujhko bhi samajh paye,
roz apna jiwan hum, mar-mar ke kaise jite hai.
Dunia lakh mana kar le hamko, lekin phir bhi ham pite hai.......

Monday, October 13, 2014

Jajbaaton se oot-prot, jab tere khat mai padhta hu,
dil me ek tees si uthti hai, kuch karne ko man karta hai.
jaanta hu bahut door hu tujhse, jiwan bhar shayad mil na saku,
jane fir bhi kyu tere khatir, kuch banne ko man karta hai.
jiwan path par badhte-badhte, bahut door nikal chuke hai hum,
lekin jiwan ke kisi mod par, tere khatir tere intazaar me, rookne ko man karta hai.
jajbaaton se oot-prpt, jab tere khat mai padhta hu,
dil me ek tees si uthti hai, kuch karne ko man karta hai.
apni wo purani sari yaaden, jinhe shayad bhool bhi chuke hoge tum,
na jane kyu un yaado ko phir jine ko man karta hai.
jajbaaton se oot-prot, jab tere khat mai padhta hu,
dil me ek tees si uthti hai, kuch karne ko man karta hai...

Thursday, August 28, 2014

Zindagi khoobsurat bhi hai, zindagi gamgeen bhi.
zindagi bahut mithi hai to, hai kabhi namkeen bhi.
beshumaar khushiyo ka kabhi zindagi mela bhi hai.
to kabhi ye zindagi tanha aur akela bhi hai.
ek khoobsurat sa koi ehsaas bhi hai zindagi.
sapno ke pura na ho pane ka pyas bhi hai zindagi.
dunia jitni acchi hai, acchai hai ye zindagi.
maut jitni sacchi hai sacchai hai ye zindagi.
zindagi khoobsurat bhi hai, zindagi gamgeen bhi.
zindagi bahut mithi hai to, hai kabhi namkeen bhi...........
Jo yaad hamen tadpati hai, wo yaad tumhe bhi aati hai,
us yaad ke mare tum bhi ho, us yaad ke mare hum bhi hai.
dunia se door hote hai jab tanha ho ruswai me,
jab kaam-kaaz sab niptakar, baithe ho tanhai me.
us waqt soach ke sagar me, bas teri surat dikhti hai,
apnapan ka ehsaas liye pyari si murat dikhti hai.
us pal me bhool mai jaata hu, is dunia ki sacchai ko,
pal bhar me hi chu leta hu tere yaado ki gahrai ko.
lekin fir jab mai jagta hu, wakif hota hu sacchai se,
wapis fir ghir jaata hu, is dunia ki ruswai se.
us waqt bhi murat dikhti hai, par bandhano me akdi hui,
samaj ki bedi torne ko aatur, janjiroo me jakdi hui.
jo yaad hamen tadpati hai wo yaad tumhe bhi aati hai,
us yaad ke mare tum bhi ho, us yaad ke mare hum bhi hai.....

Tuesday, July 1, 2014

Mai hindu bhi hu, aur mai musalmaan bhi hu.
mujhe khandit samajh bhool na kar lena tum,
mai tanha sahi, par akhand hindustaan bhi hu.
Mai hindu bhi hu, aur mai musalmaan bhi hu.
insaaniyat mera dharm, sacchai imaan hai mera,
bhartiya hu bas yahi pehchaan hai mera.
Mai kabhi sikkh to kabhi essai bhi hu,
badalte bharat ki nayi sacchai bhi hu........
Man ke sagar me chipi soach ki us moti ko khoj raha hu,
andhere jiwan ko jagmaga sake us jyoti ko mai khoj raha hu.
Apne gyan ke prakash ko, ab mai bhi prajjwalit kar paoo,
sapne jo dil me pale hai pura unko twarit kar paoo.
Andhkaar ko door hatakar, jiwan me jo khusiya bhar de,
man ke aangan me diya jalakar. raushni se isko bhar de.
Apne oor badhne wale un hatho ko ab khoj raha hu,
Man ke sagar me chipi soach ki us moti ko khoj raha hu,
andhere jiwan ko jagmaga sake us jyoti ko mai khoj raha hu..
Jab bhi purane kitab me rakkhe, us sukhe gulab ko dekhta hu. 
To bas ye soachta hu kya maine bhi pyar kiya tha. 
Wo purane kagaz ke tukde jinme tumne khat likkhe the,
jab bhi unko kholta hu, to bas ye hi soachta hu,
kya sach me tumne ikraar kiya tha.
Purane yado ke pitare ko jab bhi mai kholta hu,
aankho se tapke ashq ke boond dete hai mujhko gawahi,
haan maine bhi pyar kiya tha.
Anayaas mujhe dekhkar aaj bhi tera ghabra jaana,
dete hai mujhe ye gawahi, ki haan tune bhi ikraar kiya tha.....................

Wednesday, February 26, 2014

NIGAHEN

jisko pala tha nazo se, bhar diye usi ne kato se rahe,
fir bhi bete ki raah dekhti, budhi aur lachar nigahen.
kadam-kadam pe mila hai dhokha, dil bharta rahta hai aahen,
phir bhi premi ki aankho me khojti, wafa aur hai pyar nigahen.
gayi thi jo pura karne, apne baccho ki har ek chahe,
maa ka rasta dekh rahi wo, bhookhi aur bimaar nigahen.
pura karne ko apni, har ek anaitik chahe,
abla ki hai jism noachti, wahsi aur khunkhar nigahe.
paise ke karan deti dhokha, koi mar bhi jaye chahe,
khud ke baare me hi soachti, lalchi aur makkar nigahen.
kya yahi hai wo sapno ka samaj, jiski hamne ki thi chahe,
apni dasha ko dekh rahi hai, bebas aur nisahai nigahen......................
khwabo ko badalte dekha hai, sapno ko badalte dekha hai,
apne matlab ke karan, apno ko badalte dekha hai.
hasi-khusi ke zindagi me hamne, gam ko baraste dekha hai,
tanha hai, tanhai me, khushi ko taraste dekha hai,
apne matlab ke karan apno ko badalte dekha hai.
sukh me sab the saath magar, ab tanha me khud ko dekha hai,
waqt ka kaisa khel hai ye, bhagya ka kaisa lekha hai,
apne matlab ke karan apno ko badalte dekha hai.
gam ke din dhal jayenge, fir khushi ka waqt bhi aayega,
pal bhar me hamne, kismat ko palatte dekha hai,
khwabo ko badalte dekha hai, sapno ko badalte dekha hai,
apne matlab ke karan, apno ko badalte dekha hai...................
kabhi jannat, kabhi sohrat, kabhi khusio ka ye mausam,
kabhi zillat, kabhi nafrat to kabhi gam ke aalam,
yahi hai zindagi sanam, yahi hai zindagi sanam.
kahi hai janm ki khusia, kahi hai maut ka matam,
kahi hai fool raho me, to kahi zulm aur sitam
samjha hai kisi ne na samjhenge ise hum,
yahi hai zindagi sanam, yahi hai zindagi sanam.
de agar saath ye to, dunia ko zannat bana de hum,
par agar piche jo pade to ruke har utthe kadam,
yahi hai zindagi sanam, yahi hai zindagi sanam.
kare jo khud pe hum yakeen, to ise bebas bana de hum,
apne isharo pe tab ise chalna sikha de hum.
aao milkar ab apne, badle ham karam
bana de dunia ye haseen, tod de sare hi bharam.
jiye ise ji bhar, sahe has ke har sitam,
yahi hai zindagi sanam, yahi hai zindagi sanam.........................................
hai khauf ke aagosh me jee rahe sabhi,
kya sohrat, kya hifazat ya fir daulat ki kami hai,
sabhi ke dilo pe hai dar ki ek parat,
kya himmat, kya taquat ya fir dil hi nhi hai.
deta hai dosh har koi atankwaad ka,
pehna diya hai ise chola jihaad ka.
kya kisi ne us dard ko dekha ya suna hai,
kyo bante hai fidayeen ye mahsoos kiya hai.
har shaks ke piche hai bas ek hi dastaan,
bhrastachar, dhokha aur gareebi ka karwaan.
haan maanta hu kuch sarfire bhi hai yahan,
magar unki itni taadat nhi hai,
mita sake insaaniyat, ye unki aukaat nhi hai.
chahte ho agar paar pana is khauf se yaaro,
to sudhro pahle khud, fir samaj sudharo............................... 
ye soachta hu aksar jab bhi mai tanha hota hu,
jiya hai zindagi ko itna, fir kyo ise samajh na paata hu,
baar-baar, kyo baar-baar, khud se dhokha mai khata hu.
kho kar paana to jana hai, kyo pakar fir mai khota hu,
ye soachta hu aksar, jab bhi mai tanha hota hu.
wo kahte hai hum saath hai tere, fir apne ko kyo tanha mai pata hu,
bahutere badkismat hai yaha, fir kyo apne kismat pe rota hu,
ye soachta hu aksar, jab bhi mai tanha hota hu.
tanha har koi aata hai, tanha hi jana padta hai,
fir kyo kuch logo se rishto ke beez mai bota hu,
ye soachta hu aksar jab bhi mai tanha hota hu.
deta hu sabko khusi, fir kyo gam ko mai pata hu,
kahne ko jo hai apne, kyo unse door hue mai jata hu,
dusro ki har ek baten, sukh-dukh ko samajh mai jata hu,
kyo nhi, fir kyo nhi, khud ko samajh mai pata hu,
ye soachta hu aksar jab bhi mai tanha hota hu....................................

Tuesday, February 25, 2014

nanhe baccho ko garibi ka bojha dhote dekha hai,
kafan bhi nhi hai naseeb, un murdo ko rote dekha hai.
dekha hai un maao ko, asthi ki malum hoti hai,
apne baccho ke khatir wo, bhookhi pait hi soti hai.
in baccho ke aankho ke, sapne ko marte dekha hai,
nanhe baccho ko garibi ka bojha dhote dekha hai,
kafan bhi nhi hai naseeb, un murdo ko rote dekha hai.
rahne ki baat to jaane do, khane ko taraste dekha hai,
dil me base inke dard ko, aankho se baraste dekha hai.
dekha hai us beti ko, jo ghar ka kharch chalati hai,
na jane kaise-kaise nazro se, daman ko wo apne bachati hai.
us bholi masoom kali ko, murjhate hue dekha hai,
chithede me lipte apne, asmat ko bachate dekha hai.
nanhe baccho ko garibi ka bojha dhote dekha hai,
kafan bhi nhi hai naseeb, un murdo ko rote dekha hai..................
yaado ka kolahal hai, tanhaai ka ehsaas bhi hai,
nafrat hai kuch bato se, to chahat ki pyas bhi hai.
kabhi saamne hai apni manzil, kabhi sapno ka aakash bhi hai,
kahne ko sab hai apne, par dil me basa koi khas bhi hai.
sabkuch paaya hai humne, thodi si bachi par aas bhi hai,
yaado ka kolahal hai, tanhaai ka ehsaas bhi hai.
tanhaai hai jiwan me jaise, sunapan ka aabhas bhi hai,
kabhi karta hai himmat mera dil, to kabhi ye hatash bhi hai.
apni marzi ka malik hai, kabhi ikchhao ka daas bhi hai,
yaadoka kolahal hai, tanhaai ka ehsaas bhi hai.
nisha ke andhere ka dar hai, bhanu ke kirno ka waas bhi hai,
tute dil ke katre-katre me, basa hua koi aas bhi hai
yaado ka kolahal hai, tanhaai ka ehsaas bhi hai................... 
aao sunau ek kahani, wo pari ke sapne wo dadi nani,
laute apne bachpan me fir, fir se kare wo sari shaitani,
apni marzi ke malik ho, fir se karle apni manmaani
aaosunau ek kahani, wo pari ke sapne wo dadi nani.
fir kagaz ki kashti me, sair kare hum swapnlok ki,
aao milkar baante hum, kisse apne nok-jhok ki,
wo budhe dada ko chedna, tote ko dena daana-pani,
aao sunau ek kahani, wo pari ke sapne wo dadi nani.
har us chiz ko apna kahna, jo ho andekhi-anjaani,
khel khel me gudda-gudia fir ban jaye raja rani,
wo kichad me daur lagana, jahan thahra ho barish ka pani,
jiye fir apne bachpan ko, kar le fir sari nadani,
aao sunau ek kahani, wo pari ke sapne wo dadi nani.
school na jane ka bana bahana, muh latkana aur wo rona,
sham ko wapas aangan aakar, maa ki godi me rakh sar sona.
haan fir maa ki godi me rakh sar, sune wo mamta ki wani,
aao sunau ek kahani, wo pari ke sapne wo dadi nani.......................
kuch kaam ki talash me, kuch ikchhao ki pyas me,
baitha hu thak haarkar, yadoo ke komal ehsaas me.
apna sapno ka aakash ho, aur aage piche daas ho,
logo ko humse aas ho, apna rutba bhi khas ho.
apne jiwan me bhi ab dhan aur waibhav ka waas ho
aisi hi ikchha dil me liye, baitha hu mauke ki aas me,
kuch kaam ki talash me, kuch ikchhao ki pyas me,
baitha hu thak haarkar, yadoo ke komal ehsaas me.
toot na paye aise sapne ho, bichad na jaye aise apne ho,
koi apna bhi khas ho, jisse milne ki har waqt pyaas ho,
aisi hi soach dil me liye,aise hi waqt ki aas me,
kuch kaam ki talash me, kuch ikchhao ki pyas me,
baitha hu thak haarkar, yadoo ke komal ehsaas me......

maithili song by me upon mithila

ahan mithila ke wasi chi ta, maithili ke samman karu,
appan bhasha maithili sa ahan, mithila ke pahchaan karu.
maach makhanak karan mithila, dunia me janal jait aich,-2
atuka widyata aur sankriti, dunia me manal jait aich.
atte pawain mait attuka,-2, kichu ta aihpar maan karu,
ahan mithila ke wasi chi ta, maithili ke samman karu,
appan bhasha maithili sa ahan, mithila ke pahchaan karu.
widyapati aa mandan mishra, aih dharti par janam lelah,
dunia ke samakch mithilak, widwata ke prastuit kelah.
atte gyani lok jatukka-2, oaih dharti par abhimaan karu,
ahan mithila ke wasi chi ta, maithili ke samman karu,
appan bhasha maithili sa ahan, mithila ke pahchaan karu.
raja janak ke nagri chain ee, aa maa sita ke matribhumi-2,
bhetat nai atte pawain mait, dunia me aou katau ghumi.-2
ucchaith me devi basait chaith, aa maa shyama darbhanga me,
atte pawain jal attuka, jatte pawain ganga me.
darshan aih dharti ke ka ka, sundartak akkar ahan bhan karu,
ahan mithila ke wasi chi ta, maithili ke samman karu,
appan bhasha maithili sa ahan, mithila ke pahchaan karu....................


Monday, February 24, 2014

Jab andhkaar ka ho saya, aur kahi kiran ki aas na ho,
girke wapas uath jayenge, aisa man me wiswaas na ho.
Tab aas-paas bhi dekho tum, ek nazar udhar bhi feko tum,
bahutere yahan mil jayenge, jinke sapne bhi toot gaye,
aage badhne ki chahat me, wo sabse piche choot gaye.
Us sikhar pe pahunch ke kya karna, jahan bas kewal tum hi tum ho,
us asafalta se kaisa darna, jahan lakho ki bheed me tum gum ho.
Mana jiwan me aage badhne ko, kuch paana bhi mazboori hai,
lekin jo soacho wo palo, kya aisa bhi jaroori hai?
Ek daur sabhi ka aata hai, ek daur tera bhi aayega,
apne sapno se door sahi, par aaage tu bhi badh jayega.
Apni manzil ko pane ko, jiwan me aage jane ko,tum thoda sa to aas dharo,
karke khud pe tum yakeen, thoda hi sahi, par prayaas karo................

Saturday, February 1, 2014

nirmal dhara yu bahti hai, mano humse kuch kahti hai
tum rah me apne aage badho tum apna marg prashasht karo.
aayengi adchan raho me, in adchano se tum na ruko
saamna karo datke inka , kabhi bhi tum inse jhuko.
paaoge ek din manzil ko, tum thoda sa to aas dharo
milega tumko har mukaam tum thoda sa to prayaas karo.
saamne hai manzil tera,tum path pe apne aage badho
jabtak manzil ko pa na lo dil lakh kahe par tum na ruko.
rokegi tumko ye dunia,tum dunia ki na parwah karo
tum dekho apni manzil ko, bas manzil ki hi chah karo.
dekhe hai tumne jo sapne har swapn ko tum saakar karo
chu lo badh k tum aasman, har kadam pe apna naam karo.
nirmal dhara yu bahti hai, mano humse kuch kahti hai
tum rah me apne aage badho tum apna marg prashasht karo................... vikas jha
Kuch sapno ki kuch bato ki , yaade aati hai yado ki.
Ankho ke samne jhilmilate wo barish sawan bhado ki,
yade aati hai yado ki.
Kuch sapne the jo toot gaye, kuch apne hamse rooth gaye.
Samay ki dhara me dekho hum kaise piche choot gaye.
Rishto ko bandh k rakh paye ab khoj hai aise dhago ki,
kuch sapno ki kuch bato ki yaade aati hai yaado ki.
Jiwan me bahut kuch paaya hai, darta hu kahi kuch kho na du,
jakhm bhi jhela hai bahuto, lagta hai kahi ab ro na du.
ansu apna mai pi lunga, jaise jita hu ji lunga,
ye kasm hai kasmo wado ki, yade aati hai yado ki............ vikas jha
sukh ke phoolo se kiya tha pyar,gam ke kanto se pyar karo.
Dekhe hai khusi ke pal bahuto,ab dukh ka bhi didaar karo.
Muskate hue apne mukh par,ab gamo ke chaw bharo.
Samna kiya hai har khusi ka,ab gam se bhi tum na daro.
Dunia me jise basaya tha,ab yaad me uske aanhe bharo.
Pyar ke baadal bade barse hai, dhokhe ke garaj se tum na daro.
Sukh ke phoolo se kiya tha pyar, gam ke kaanto se pyar karo.
Dekhe hai khusi ke pal bahuto ab gam ka bhi didaar karo.
Khusi hogi teri kadmo me, tum bas apna kartavaya karo.
Gam ke badal chat jaayenge, tum thoda sa to sabra karo.
Mehnat se ab apne tum, ujjawal apna sansaar karo.
Dekhe hai khusi ke pal bahuto ab dukh ka bhi didaar karo....... vikas jha
Nigaho me jalaye the jo hunne khwab k diye,
wo tere door jane se jane kyo bhujh se gaye.
Jo bante the gharonde khusio k kabhi khwab me,
na jane kyo wo sare ab shayad toot se gaye.
Teri julfo k saye jo kabhi sukoon si deti thi,
teri wo muskurahat jo nayi junoon si deti thi.
Waqt ke saath jaise wo piche chooth se gaye.
jo bante the gharonde khusio k kabhi khwab me,
na jane kyo wo sare ab shayad toot se gaye.
ye nigahe jo kabhi dekhti thi na kuch tere siwa,
ise jane kyo ab aane laga sab saaf sa nazar.
Tere bichdan se hi shayad inme hua hai aisa asar.
ye dil jo har gam ko muskura kar taal jata tha,
na dekhe tujhko to ye bada behaal jata tha.
Ab jane se tere ye dil ke darpan foot se gaye.
jo bante gharonde khusio ke kabhi khwab me,
na jane kyo wo sare ab shayad toot se gaye.....vikas jha
faslo aur doorio ki chadaro ko oadhkar,
baitha hai wo jane kyo mooh mujhse modkar.
Toot kar chaha tha jisko, sare jhan ko chor kar,
door jaa raha wo dekho, dil ko mere todkar.
Toota bhi hu tadpa bhi hu, hara bhi mai pyar me,
magar wo khus hai bahut ab to mere haar me.
Yaar dost kahte hai mujhse bhool jaane ko jise,
saans jabtak hai badan me kaise bhoolu mai use.
Lipatti hai yaade uski, ab to mujhse daur kar,
shayad khus hai wo ab, saath mera chor kar.
Faslo aur doorio ki chadro ko oadhkar,
baitha hai wo jane kyo mooh mujhse modkar..........vikas jha
Kal bhi bunde barsi thi, kal bhi badal jarge the,
kal bhi aankho me sapne the, kal bhi yado me tarse the.
Lekin gujra kal accha tha, kyonki kal tak mai baccha tha.
Ab jo maine dunia ko dekha, kya tha mai aur kya ban baitha.
Bachpan me jo bhi sapne the, wo kab ke toot ke choor hue.
Halaat ke hatho hi sahi, lekin hum bhi mazboor hue.
Mai aaj bhi dil ka saccha hu, mai kal bhi dil ka saccha tha,
lekin gujra kal accha tha, kyoki kal tak mai baccha tha........vikas jha
tanhai me bheed, bheed me tanhai ka ehsaas ho,
koi to ho apna, jo apne liye bhi khas ho.
Jiski dhadkan me jiyu mai, jo mere dhadkan me ji paye,
mere rone pe ro de wo, mere hasne pe muskaye.
Uske jiwan me aane se, jiwan me khusiya aa jaye,
wo shital mand pawan bankar, mere jiwan me cha jaye.
Jiske khone ka dar ho mujhe, jisko pane ki pyas bhi ho,
jiske har ek bato se, apnepan ka aabhas bhi ho.
Tanhai me bheed, bheed me tanhai ka ehsas ho,
koi to ho apna, jo apne liye bhi khas ho.............vikas jha

zindagi

ye zindagi ajeeb hai, ajeeb hai ye zindagi.
Kabhi hai tadak bhadak to kabhi hai saadgi,
kabhi dil me mail hai, kabhi khuda ki bandagi.
Ye zindagi ajeeb hai, ajeeb hai ye zindagi.
Kahi daman me hai daag, kabhi hai paakizgi,
kabhi hai yaha pe krodh to kabhi hai dillagi.
Ye zindagi ajeeb hai, ajeeb hai ye zindagi.
Har tan me hai, kan-kan me hai,
har pahar me hai ye zindagi,
rahi ke raho ke rahgujar me hai ye zindagi.
Ye zindagi ajeeb hai, ajeeb hai ye zindagi.
Sukh ho ya dukh hi sahi, pal pal hai chalti zindagi,
waqt ke saath-saath, har pal badalti zindagi.
Ye zindagi ajeeb hai, ajeeb hai ye zindagi........vikas jha

ehsaan

Kab tak mai chup rahunga, kab tak ye gam sahunga,
har chot sine me dafan kar, mai kab tak aansu piyunga.
Tod de dukh se naata mera, kehna mera tu maankar,
ae zindagi ae zindagi, mujhpe tu ehsaan kar.
Paaya hai maine zindagi me, khoya bhi hu mai bahut,
haste hue din pal me bite, roya bhi hu mai bahut.
Soachta hu ye kabhi mai, chup kyo hai tu sab jaankar,
ae zindagi ae zindagi, mujhpe tu ehsaan kar.
Mere jiwan me khusi bas do pal ka mehmaan tha,
logon ki baat mai kya janu, takdeer hi baimaan tha.
Sukh me tu tha saath mere, dukh ka bhi mera bhan kar,
ae zindagi ae zindagi, mujhpe tu ehsaan kar.
Ashq pikar, muskurakar, gam ko mai sahta raha,
dhup-chaw chup-chap sahkar, jiwan ki dhara me bahta raha.
Maangta hu tujhse bas do pal khusi ke daan kar,
ae zindagi ae zindagi mujhpe tu ehsaan kar....... vikas jha

pathik

Unghta hu, ladkhadakar phir sambhalna jaanta hu.
Mai pathik hu, mera kya hai, bas mai chalna jaanta hu.
Tutta bhi hu, jhukta bhi hu, fir bhi mai bahta rahunga,
raah me aaye rukawat, fir bhi mai chalta rahunga.
Chalte hi jaana hai mujhko, meri koi manzil nhi,
rok le mujhko apne aagosh me, aisa koi sahil nhi.
Tut jau mai bikhar kar, fir bhi mai thakta nhi,
dard aur aah bhale hi nikle, lekin mai rukta nhi.
Laakho musibat ghere mujhko, mai nikalna jaanta hu.
Unghta hu, ladkhada kar fir sambhalna jaanta hu,
mai pathik hu, mera kya hai, bas mai chalna jaanta hu.......vikas jha

baaten

Kabhi jo karte the baate, hame apne paas lane ki.
Wo ab door baithe hai, humse hi khafa hokar.
Kabhi jo khayi thi kasme, saath jine marne ki,
ab kat rhi rate, tanhai me ro rokar.
hui aisi kya khata hamse, ki tum magroor ho gaye,
hamse door jane ko, ki tum mazboor ho gaye.
Jaoge door kab talak , ki tum hum se khafa hokar,
wapas aaoge mere paas, gamo se choor-choor hokar.
Tumhara us waqt tak, mai intazaar karunga.
mai kal bhi pyar karta tha, tumhe kal bhi pyar karunga..........vikas jha

gumnaam baithe hai

Kabhi mahfil me hote the, abhi gumnaam baithe hai.
kabhi waqt ki thi kami, ab waqt ko tham baithe hai.
Jin labo pe kabhi khushi ka pyala thirakta tha,
unhi labo pe ab laga, gamo ka jaam baithe hai.
Kabhi mahfil me hote the, abhi gumnaam baithe hai.
Jo kabhi khaas hone ka yaha pe dambh bharte the,
aajkal to dekho wanhi banke aam baithe hai.
Jin galiyo me bas ek naam kafi tha,
unhi galiyo me hokar ab badnaam baithe hai.
Kabhi mahfil me hote the, abhi gumnaam baithe hai......... Vikas jha

mujhpe tumhara asar

Mere sapno me aaya, har haseen chehra tumhara hai,
mere har soach ki lahar pe, pahra tumhara hai.
khuda barpaye mujhpe bar-bar,wo kahar ho tum,
mere zindagi ke falsafho pe pada, haseen asar ho tum.
jiwan me mere para asar,gahra tumhara hai,
mere har soach ki lahar pe, pahra tumhara hai.
mera maula, meri ibadat, meri parchai bhi ho tum,
mere dil ke ek kone me basi, tanhai bhi ho tum.
kyo mujhpe hi aakar nazar,thahra tumhara hai,
mere har soach ki lahar pe, pahra tumhara hai........ vikas jha

mai kahan hu ?????

khojta hu khud me khud ko, mai kaha hu?
bachpan ki wo muskurahat, jisme mai hua karta tha,
aaj thahthaakar hasne me bhi, mai kaha hu?
wo ladakpan,wo jhagdakpan, wo muh fula ke rooth jana,
wo dosto ka saath aana,saath aakar mujhko manana,
dost to aaj bhi hai bahutere, lekin unme mai kaha hu?
wo maa ke mukh se nikli lori,godi me unke rakh sar sona,
nind to aaj bhi aati bahut hai, lekin unme mai kaha hu?
bachpan ki wo dawd, jinme mai awwal aata tha,
zindagi ki is kathin dawd me, mai kaha hu?
dekhta hu jab bhi mai, khud se khud ki zindagi ko,
puchta hu khud se aksar, is zindagi me mai kaha hu?
khojta hu khud me khud ko, mai kaha hu?................ vikas jha